Unki Jaame Jam Aankhen
Unki jaame jam aankhen
Shishaye badan mera
Unki band muthi me
Sara baakpan mera
Shishaye badan mera
Unki band muthi me
Sara baakpan mera
Arze gang meri hai
Khittaye jaman mera
Mai gulame khwaja hu
Hind hai watan mera
Khittaye jaman mera
Mai gulame khwaja hu
Hind hai watan mera
Aashiqe nabi hu mai
Warise ali hu mai
Maila ho na payega
Hashr tak kafan mera
Warise ali hu mai
Maila ho na payega
Hashr tak kafan mera
Naate mustafa kehna
Naate mustafa sun na
Mujhko bakshwayega
Haa yahi chalan mera
Naate mustafa sun na
Mujhko bakshwayega
Haa yahi chalan mera
Hashr me nida hogi
Yeh gulam kiska hai
Mujh ko dekhe aur kehde
Ya shahe zaman mera
Yeh gulam kiska hai
Mujh ko dekhe aur kehde
Ya shahe zaman mera
Arsh jhoom jhoom utha
Qudsiyo ko wajd aaya
Naate Mustafa me jab
Khul gaya dahan mera
Qudsiyo ko wajd aaya
Naate Mustafa me jab
Khul gaya dahan mera
Aap chahe ho jaye
Sari mushkile aasan
Aap chahe mit jaye
Ranj aur mehen mera
Sari mushkile aasan
Aap chahe mit jaye
Ranj aur mehen mera
Maine sare kaam apne
Mustafa ko saupe hai
Kya bigad payega
Daure pur fatan mera
Mustafa ko saupe hai
Kya bigad payega
Daure pur fatan mera
Waqfe zikre ahmed ho
Ta abad qalam ya rab
Hashr tak rahe jaari
Chashmae sukhan mera
Ta abad qalam ya rab
Hashr tak rahe jaari
Chashmae sukhan mera
Azmate mere aage
Sajda roz ho jaye
Unke dar se chul jaye
Kash payrahan mera
Sajda roz ho jaye
Unke dar se chul jaye
Kash payrahan mera
Hashr me tarazu par
Tole jayenge aamal
Kaam aahi jayega
Naat ka yeh fal mera
Tole jayenge aamal
Kaam aahi jayega
Naat ka yeh fal mera
Arsh se pare jaakar
Mustafa ne batlaya
Yeh zami bhi meri hai
Aur hai gagan mera
Mustafa ne batlaya
Yeh zami bhi meri hai
Aur hai gagan mera
Gulshane madina se
Nazmi mujhko nisbat hai
Ek ek kali meri
Gul mera chaman mera
Nazmi mujhko nisbat hai
Ek ek kali meri
Gul mera chaman mera
Mai gulame khwaja hu
Hind hai watan mera
Hind hai watan mera
1 Comments
Gulshane madina se najmi mujhko nisbat hai
ReplyDelete